dil tha hamara sone jaisa ab tumko jatlayen kya
dil thā hamārā sone jaisā ab tum ko jatlāyeñ kyā
ulfat meñ kyā dukh jhele haiñ ham ne ye batlā.eñ kyā
ab ke baras bhī sāvan barsā vaisā hī kuchh pāgal sā
kaalī ghaTā.eñ kaise uTThīñ saarā kuchh batlā.eñ kyā
gulshan meñ hai phir vo bahārāñ jis ke tum shaidā.ī the
chashm-e-tasavvur se hī dekho lafzoñ meñ dikhlā.eñ kyā
dil kī zid to dekho kyā anhonī bāteñ kartā hai
shām-o-sahar kī Doreñ chhūTīñ ab is ko bahlā.eñ kyā
ziist ibārat hai ik aisī paḌh na sakoge jaane do
lafz ke dīpak jo haiñ raushan ham un ko gahnā.eñ kyā
dil tha hamara sone jaisa ab tum ko jatlayen kya
ulfat mein kya dukh jhele hain hum ne ye batlaen kya
ab ke baras bhi sawan barsa waisa hi kuchh pagal sa
kali ghaTaen kaise uTThin sara kuchh batlaen kya
gulshan mein hai phir wo bahaaran jis ke tum shaidai the
chashm-e-tasawwur se hi dekho lafzon mein dikhlaen kya
dil ki zid to dekho kya anhoni baaten karta hai
sham-o-sahar ki Doren chhuTin ab is ko bahlaen kya
zist ibarat hai ek aisi paDh na sakoge jaane do
lafz ke dipak jo hain raushan hum un ko gahnaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.