dil tha jab aasman ki chahat mein
dil thā jab āsmāñ kī chāhat meñ
abr kyoñ rakh liyā basārat meñ
ishq kā khel koī sahl nahīñ
puḳhtagī chāhiye riyāzat meñ
barf kā kaam to pighalnā thā
kyoñ takabbur huā tamāzat meñ
ab tire mere vasl kā hogā
faisla hijr kī adālat meñ
paḌh rahā huuñ kitāb-e-zīst magar
ġhalatī hai bahut kitābat meñ
sher vo hai ki jis meñ hikmat ho
varna jaa.ez nahīñ sharī.at meñ
dil tha jab aasman ki chahat mein
abr kyon rakh liya basarat mein
ishq ka khel koi sahl nahin
puKHtagi chahiye riyazat mein
barf ka kaam to pighalna tha
kyon takabbur hua tamazat mein
ab tere mere wasl ka hoga
faisla hijr ki adalat mein
paDh raha hun kitab-e-zist magar
ghalati hai bahut kitabat mein
sher wo hai ki jis mein hikmat ho
warna jaez nahin shariat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.