dil to kahta hai na ghabraiyega
dil to kahtā hai na ghabrā.iyegā
zulf kahtī hai havā khā.iyegā
ġhair aur dīd-talab misl-e-kalīm
kahīñ bātoñ meñ na aa jā.iyegā
chhū ke vo mus.haf-e-ruḳh hazrat-e-dil
koī salvāt na sunvā.iyegā
bevafā ġhair tumheñ kahtā hai
mujhe nāseh se na laḌvā.iyegā
kyoñ pareshāñ ho ḳham-e-gesū par
dil jo uljhe to na suljhā.iyegā
baḳht-e-ḳhufta kī to āñkheñ khul jaa.eñ
ḳhvāb hī meñ nazar aa jā.iyegā
vaar ḳhanjar kā na ochhā rah jaa.e
ai dam-e-qatl na ghabrā.iyegā
ho chukā ġhair se to va.ada-e-vasl
kuchh mire haq meñ to farmā.iyegā
maiñ uThā kar tumheñ dil meñ rakh luuñ
ghar se bāhar kahīñ mil jā.iyegā
hairat-e-husn se bigḌī sūrat
mujhe ā.īna na dikhlā.iyegā
jhūTī bandish mujhe sab hai ma.alūm
baat nāhaq ko na khulvā.iyegā
'sho.ala' kuchh baat bhī hai ta.ana-e-ġhair
yūhīñ marnā hai to mar jā.iyegā
dil to kahta hai na ghabraiyega
zulf kahti hai hawa khaiyega
ghair aur did-talab misl-e-kalim
kahin baaton mein na aa jaiyega
chhu ke wo mushaf-e-ruKH hazrat-e-dil
koi salwat na sunwaiyega
bewafa ghair tumhein kahta hai
mujhe naseh se na laDwaiyega
kyon pareshan ho KHam-e-gesu par
dil jo uljhe to na suljhaiyega
baKHt-e-KHufta ki to aankhen khul jaen
KHwab hi mein nazar aa jaiyega
war KHanjar ka na ochha rah jae
ai dam-e-qatl na ghabraiyega
ho chuka ghair se to wada-e-wasl
kuchh mere haq mein to farmaiyega
main uTha kar tumhein dil mein rakh lun
ghar se bahar kahin mil jaiyega
hairat-e-husn se bigDi surat
mujhe aaina na dikhlaiyega
jhuTi bandish mujhe sab hai malum
baat nahaq ko na khulwaiyega
'shoala' kuchh baat bhi hai tana-e-ghair
yuhin marna hai to mar jaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.