dil to kya jaan se guzarna aaya
dil to kyā jaañ se guzarnā aayā
jī uThe log jo marnā aayā
sarf jab tak na huā dil kā lahū
harf meñ rang na bharnā aayā
ho ga.e saare samundar pāyāb
jab hameñ paar utarnā aayā
fasl-e-gul aa.ī to har ġhunche ko
zaḳhm kī tarah nikharnā aayā
jo nafas thā vo rahā garm-e-safar
kab musāfir ko Thaharnā aayā
ik gul-e-tar kī mohabbat meñ hameñ
kitne kāñToñ se guzarnā aayā
vo adab 'ishq ne baḳhshā ki hameñ
muddatoñ baat na karnā aayā
dil pe apne jo paḌī zarb 'ziyā'
TuuT kar ham ko bikharnā aayā
dil to kya jaan se guzarna aaya
ji uThe log jo marna aaya
sarf jab tak na hua dil ka lahu
harf mein rang na bharna aaya
ho gae sare samundar payab
jab hamein par utarna aaya
fasl-e-gul aai to har ghunche ko
zaKHm ki tarah nikharna aaya
jo nafas tha wo raha garm-e-safar
kab musafir ko Thaharna aaya
ek gul-e-tar ki mohabbat mein hamein
kitne kanTon se guzarna aaya
wo adab 'ishq ne baKHsha ki hamein
muddaton baat na karna aaya
dil pe apne jo paDi zarb 'ziya'
TuT kar hum ko bikharna aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.