dil to viran hai viran bhi aisa-waisa
dil to vīrān hai vīrān bhī aisā-vaisā
un kā ehsān hai ehsān bhī aisā-vaisā
ishq kī āḳhirī manzil pe khaḌe ham donoñ
ab bichhaḌne kā hai imkān bhī aisā-vaisā
ham bhī hoñ sāhab-e-dīvān yahī ḳhvāhish hai
ik hī dīvān ho dīvān bhī aisā-vaisā
tū samajhtā hai use yaar farishta kyūñkar
vo to insān hai insān bhī aisā-vaisā
shahr kā shahr mire haal se vāqif hai 'arīb'
tū hī anjān hai anjān bhī aisā-vaisā
dil to viran hai viran bhi aisa-waisa
un ka ehsan hai ehsan bhi aisa-waisa
ishq ki aaKHiri manzil pe khaDe hum donon
ab bichhaDne ka hai imkan bhi aisa-waisa
hum bhi hon sahab-e-diwan yahi KHwahish hai
ek hi diwan ho diwan bhi aisa-waisa
tu samajhta hai use yar farishta kyunkar
wo to insan hai insan bhi aisa-waisa
shahr ka shahr mere haal se waqif hai 'arib'
tu hi anjaan hai anjaan bhi aisa-waisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.