dil toDne wale nahin saffak nahin hum
dil toḌne vaale nahīñ saffāk nahīñ ham
ham jaise zarā dosto chālāk nahīñ ham
ham ḳhuub samajhte haiñ ishāroñ ko tumhāre
maanā ki koī sāhib-e-idrāk nahīñ ham
ham dil kī koī baat zabāñ se nahīñ kahte
itne to abhī yaar se bebāk nahīñ ham
baiTheñge bhalā saath meñ ham aap ke kaise
jab aap ke qadmoñ kī yahāñ ḳhaak nahīñ ham
Dūbeñge yaqīnan isī gahrā.ī meñ ik din
hai sab ko pata ḳhuub ki tairāk nahīñ ham
dil toDne wale nahin saffak nahin hum
hum jaise zara dosto chaalak nahin hum
hum KHub samajhte hain ishaaron ko tumhaare
mana ki koi sahib-e-idrak nahin hum
hum dil ki koi baat zaban se nahin kahte
itne to abhi yar se bebak nahin hum
baiThenge bhala sath mein hum aap ke kaise
jab aap ke qadmon ki yahan KHak nahin hum
Dubenge yaqinan isi gahrai mein ek din
hai sab ko pata KHub ki tairak nahin hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.