dil tumhaara toD sakti hai kabhi bhi
dil tumhārā toḌ saktī hai kabhī bhī
laḌkiyoñ se kam nahīñ hai zindagī bhī
dekhiye kyā rang laa.ī bandagī bhī
sāmne dariyā laboñ par tishnagī bhī
ishq bhī Thukrā diyā us ne hamārā
aur ham se toḌ dī phir dostī bhī
taaza haiñ kuchh zaḳhm pichhlī bārishoñ ke
chhat Tapaktī hai mire ghar kī abhī bhī
kyā nahīñ hai paas phir bhī ḳhush nahīñ hai
chāhtā kyā hai bhalā ye aadmī bhī
dil tumhaara toD sakti hai kabhi bhi
laDkiyon se kam nahin hai zindagi bhi
dekhiye kya rang lai bandagi bhi
samne dariya labon par tishnagi bhi
ishq bhi Thukra diya us ne hamara
aur hum se toD di phir dosti bhi
taza hain kuchh zaKHm pichhli barishon ke
chhat Tapakti hai mere ghar ki abhi bhi
kya nahin hai pas phir bhi KHush nahin hai
chahta kya hai bhala ye aadmi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.