dil un ko diya tha na dil-azar samajh kar
dil un ko diyā thā na dil-āzār samajh kar
ham phañs ga.e dhoke meñ vafādār samajh kar
ḳhurshīd karegā ruḳh idhar bahr-e-tamāshā
mahshar ko tire garmī-e-bāzār samajh kar
ai kabk bahut khā chuke haiñ Thokareñ har gaam
chalnā tū mire yaar kī raftār samajh kar
tārīki-e-marqad se na ghabrātā maiñ lekin
ḳhauf aa gayā furqat kī shab-e-tār samajh kar
vo zār-e-siyah-baḳht huuñ darbānoñ ne us ke
Tokā na mujhe sāya-e-dīvār samajh kar
ye mahv-e-shahādat thā ki be-marzī-e-qātil
abrū pe galā rakh diyā talvār samajh kar
ye be-ḳhud-e-ulfat thā dam-e-sair-e-gulistāñ
shamshād se lipTā qad-e-dildār samajh kar
kuchh roz unheñ sun lījiyo kamsin hai abhī to
ḳhud tark karegā vo bad-atvār samajh kar
ushshāq ko jal marne kī hotī hai tamannā
bijlī ko tirā partav-e-ruḳhsār samajh kar
dekhī mire yūsuf kī jo haiñ garmī-e-bāzār
chup ho ga.e kuchh dil meñ ḳharīdār samajh kar
nāzuk hai bahut vo kahīñ bal koī na paḌ jaa.e
lipTe kamar-e-yār se talvār samajh kar
bulbul kī mohabbat kā 'qalaq' bhed khulā aaj
āshiq hai gul-e-tar pe ye zardār samajh kar
dil un ko diya tha na dil-azar samajh kar
hum phans gae dhoke mein wafadar samajh kar
KHurshid karega ruKH idhar bahr-e-tamasha
mahshar ko tere garmi-e-bazar samajh kar
ai kabk bahut kha chuke hain Thokaren har gam
chalna tu mere yar ki raftar samajh kar
tariki-e-marqad se na ghabraata main lekin
KHauf aa gaya furqat ki shab-e-tar samajh kar
wo zar-e-siyah-baKHt hun darbanon ne us ke
Toka na mujhe saya-e-diwar samajh kar
ye mahw-e-shahadat tha ki be-marzi-e-qatil
abru pe gala rakh diya talwar samajh kar
ye be-KHud-e-ulfat tha dam-e-sair-e-gulistan
shamshad se lipTa qad-e-dildar samajh kar
kuchh roz unhen sun lijiyo kamsin hai abhi to
KHud tark karega wo bad-atwar samajh kar
ushshaq ko jal marne ki hoti hai tamanna
bijli ko tera partaw-e-ruKHsar samajh kar
dekhi mere yusuf ki jo hain garmi-e-bazar
chup ho gae kuchh dil mein KHaridar samajh kar
nazuk hai bahut wo kahin bal koi na paD jae
lipTe kamar-e-yar se talwar samajh kar
bulbul ki mohabbat ka 'qalaq' bhed khula aaj
aashiq hai gul-e-tar pe ye zardar samajh kar
- Arshad Ali Khan Qalaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.