dil wahimon ke KHwab ke pichhe nahin gaya
dil vāhimoñ ke ḳhvāb ke pīchhe nahīñ gayā
sairāb thā sarāb ke pīchhe nahīñ gayā
be-chehragī aziiz magar ḳhāl-o-ḳhad kā ġham
dāġh-e-jigar naqāb ke pīchhe nahīñ gayā
radd-o-qubūl meñ bhī qanā.at-pasand thā
husn-e-talab javāb ke pīchhe nahīñ gayā
uryāñ hai bārgāh-e-tamāshā meñ sar-ba-sar
shauq-e-junūñ hijāb ke pīchhe nahīñ gayā
is baar iḳhtiyār kī āsūdgī chunī
taarā ki mahtāb ke pīchhe nahīñ gayā
dil wahimon ke KHwab ke pichhe nahin gaya
sairab tha sarab ke pichhe nahin gaya
be-chehragi aziz magar KHal-o-KHad ka gham
dagh-e-jigar naqab ke pichhe nahin gaya
radd-o-qubul mein bhi qanaat-pasand tha
husn-e-talab jawab ke pichhe nahin gaya
uryan hai bargah-e-tamasha mein sar-ba-sar
shauq-e-junun hijab ke pichhe nahin gaya
is bar iKHtiyar ki aasudgi chuni
tara ki mahtab ke pichhe nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.