dil wo shai hai ki jo dekhe to khiche yar ke sath
dil wo shai hai ki jo dekhe to khiche yar ke sath
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
dil vo shai hai ki jo dekhe to khiche yaar ke saath
ye dukāñ vo hai ki chaltī hai ḳharīdār ke saath
ek dam-bhar ke liye ham na lagāyā thā gale
umr hī kaT ga.ī qātil tirī talvār ke saath
tāna-e-zulm-o-sitam lailā-o-shīrīñ pe abas
kyā kiyā aap ne ishq-e-dil-e-afgār ke saath
teġh chal niklī dam-e-qatl gale par mere
maiñ ne tashbīh jo dī abrū-e-ḳhamdār ke saath
hashr aġhyār kā shaddād ke hogā hamrāh
jhuuT kahtā huuñ to bas hashr ho aġhyār ke saath
na Dareñ ḳhuld meñ jaate hue jo rizvāñ se
us ke darvāze pe ruk jaa.eñ ḳhabar-dār ke saath
so ga.e baḳht shab-e-va.ada ye mujh se kah kar
kaun jaagā hai tire dīda-e-bedār ke saath
is qadar charb-zabānī nahīñ achchhī ai sham.a
bazm-e-jānāñ meñ zabāñ kaTtī hai guftār ke saath
hashr meñ zālim-o-mazlūm judā hoñge dareġh
haa.e vaañ bhī na rahe us but-e-ayyār ke saath
haa.e afsos hai 'sālik' kī javāñ-margī kā
ishq kī baat ga.ī us jigar-afgār ke saath
dil wo shai hai ki jo dekhe to khiche yar ke sath
ye dukan wo hai ki chalti hai KHaridar ke sath
ek dam-bhar ke liye hum na lagaya tha gale
umr hi kaT gai qatil teri talwar ke sath
tana-e-zulm-o-sitam laila-o-shirin pe abas
kya kiya aap ne ishq-e-dil-e-afgar ke sath
tegh chal nikli dam-e-qatl gale par mere
main ne tashbih jo di abru-e-KHamdar ke sath
hashr aghyar ka shaddad ke hoga hamrah
jhuT kahta hun to bas hashr ho aghyar ke sath
na Daren KHuld mein jate hue jo rizwan se
us ke darwaze pe ruk jaen KHabar-dar ke sath
so gae baKHt shab-e-wada ye mujh se kah kar
kaun jaga hai tere dida-e-bedar ke sath
is qadar charb-zabani nahin achchhi ai shama
bazm-e-jaanan mein zaban kaTti hai guftar ke sath
hashr mein zalim-o-mazlum juda honge daregh
hae wan bhi na rahe us but-e-ayyar ke sath
hae afsos hai 'salik' ki jawan-margi ka
ishq ki baat gai us jigar-afgar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.