dil ye jis aarzu se Darta hai
dil ye jis aarzū se Dartā hai
rāt-din us ke ta.iiñ hī martā hai
dukh jalāvan se zehn bhaTTī par
yādeñ paktī haiñ peT bhartā hai
shaam ke baa'd sher hote haiñ
shaam ke baa'd ġham utartā hai
ek nā-bīnā ishq shām-o-sahar
yūsufistāñ kī sair kartā hai
dil-girafta udāsiyoñ ke darūñ
ik tabassum baḌā akhartā hai
yā badan hai yā ishq hai kāran
be-vajah kaun hī sañvartā hai
dil ye jis aarzu se Darta hai
raat-din us ke tain hi marta hai
dukh jalawan se zehn bhaTTi par
yaaden pakti hain peT bharta hai
sham ke ba'd sher hote hain
sham ke ba'd gham utarta hai
ek na-bina ishq sham-o-sahar
yusufistan ki sair karta hai
dil-girafta udasiyon ke darun
ek tabassum baDa akharta hai
ya badan hai ya ishq hai karan
be-wajah kaun hi sanwarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.