dil ye kahta hai ki milne ki koi baat kare
dil ye kahtā hai ki milne kī koī baat kare
koī to aa.e jo tajdīd-e-mulāqāt kare
hai bahut tīra-sifat chādar-e-ḳhurshīd yahāñ
din ko āġhosh meñ bhar le to use raat kare
yaad hai harf-e-duā bahr-e-munājāt magar
roz-o-shab us ke liye kaun munājāt kare
us ke jaane pe to ḳhāmosh rahegī ye zabāñ
dil kā mālūm nahīñ kitne savālāt kare
rashk aatā hai bahut us kī mahārat pe mujhe
merī har jiit ko vo shoḳh-adā maat kare
ḳhvāb ta.abīr-e-haqīqat meñ badal jaa.e agar
shab-gazīda hī sahī phir bhī karāmāt kare
har kiran kitnī siyah-baḳht nazar aane lage
tīrgī jab bhī kabhī raushnī kī baat kare
roz kartā hai vo ġhairoñ se mulāqāt abas
us se kah do ki vo ab ḳhud se mulāqāt kare
mai-kada achchhā subū achchhe magar phir bhī 'shakīl'
zindagī kaise koī nazr-e-ḳharābāt kare
dil ye kahta hai ki milne ki koi baat kare
koi to aae jo tajdid-e-mulaqat kare
hai bahut tira-sifat chadar-e-KHurshid yahan
din ko aaghosh mein bhar le to use raat kare
yaad hai harf-e-dua bahr-e-munajat magar
roz-o-shab us ke liye kaun munajat kare
us ke jaane pe to KHamosh rahegi ye zaban
dil ka malum nahin kitne sawalat kare
rashk aata hai bahut us ki mahaarat pe mujhe
meri har jit ko wo shoKH-ada mat kare
KHwab tabir-e-haqiqat mein badal jae agar
shab-gazida hi sahi phir bhi karamat kare
har kiran kitni siyah-baKHt nazar aane lage
tirgi jab bhi kabhi raushni ki baat kare
roz karta hai wo ghairon se mulaqat abas
us se kah do ki wo ab KHud se mulaqat kare
mai-kada achchha subu achchhe magar phir bhi 'shakil'
zindagi kaise koi nazr-e-KHarabaat kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.