dil zaban zehn mere aaj sanwarna chahen
dil zabāñ zehn mire aaj sañvarnā chāheñ
sab ke sab sirf tirī baat hī karnā chāheñ
daaġh haiñ ham tire dāman ke so ziddī bhī haiñ
ham koī rañg nahīñ haiñ ki utarnā chāheñ
aarzū hai hameñ sahrā kī so haiñ bhī sairāb
ḳhushk ho jaa.eñ ham ik pal meñ jo jharnā chāheñ
ye badan hai tirā ye aam sā rasta to nahīñ
is ke har moḌ pe ham sadiyoñ Thaharnā chāheñ
ye sahar hai to bhalā chāhiye kis ko ye ki ham
shab kī dīvār se sar phoḌ ke marnā chāheñ
jaise so.e hue paanī meñ utartā hai saañp
ham bhī chup-chāp tire dil meñ utarnā chāheñ
aam se shaḳhs ke lagte haiñ yuuñ to tere paañv
saare dariyā hī jinheñ chhū ke guzarnā chāheñ
chāhte haiñ ki kabhī zikr hamārā vo kareñ
ham bhī bahte hue paanī pe Thaharnā chāheñ
naam aayā hai tirā jab se gunahgāroñ meñ
sab gavāh apnī gavāhī se mukarnā chāheñ
vasl aur hijr ke dariyā meñ vahī utreñ jo
is taraf Duub ke us or ubharnā chāheñ
koī aa.egā nahīñ TukḌe hamāre chunñe
ham isī jism ke andar hī bikharnā chāheñ
dil zaban zehn mere aaj sanwarna chahen
sab ke sab sirf teri baat hi karna chahen
dagh hain hum tere daman ke so ziddi bhi hain
hum koi rang nahin hain ki utarna chahen
aarzu hai hamein sahra ki so hain bhi sairab
KHushk ho jaen hum ek pal mein jo jharna chahen
ye badan hai tera ye aam sa rasta to nahin
is ke har moD pe hum sadiyon Thaharna chahen
ye sahar hai to bhala chahiye kis ko ye ki hum
shab ki diwar se sar phoD ke marna chahen
jaise soe hue pani mein utarta hai sanp
hum bhi chup-chap tere dil mein utarna chahen
aam se shaKHs ke lagte hain yun to tere panw
sare dariya hi jinhen chhu ke guzarna chahen
chahte hain ki kabhi zikr hamara wo karen
hum bhi bahte hue pani pe Thaharna chahen
nam aaya hai tera jab se gunahgaron mein
sab gawah apni gawahi se mukarna chahen
wasl aur hijr ke dariya mein wahi utren jo
is taraf Dub ke us or ubharna chahen
koi aaega nahin TukDe hamare chunne
hum isi jism ke andar hi bikharna chahen
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 19)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.