Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai

Rasheed lakhnavi

dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    dilā ma.ashūq jo hotā hai vo saffāk hotā hai

    baḌā be-rahm hotā hai baḌā bebāk hotā hai

    ḳhushī hogī halāk apnā dil-e-sad-chāk hotā hai

    kahāñ ab aarzū ghar hasratoñ ḳhaak hotā hai

    tumhārī teġh mujh se chupke chupke kahtī jaatī hai

    mubārak ho ki ye sar zīnat-e-fitrāk hotā hai

    tujhe allāh ne baḳhshā hai kaisā rutba-e-ālī

    ki terā naqsh-e-pā tāj-e-sar-e-aflāk hotā hai

    qarīb aayā hai vaqt ai jān-e-jāñ ab dam nikalne

    tire kūche se ham uThte haiñ jhagḌā paak hotā hai

    jo piite haiñ sharāb un mohabbat meñ nahīñ aasī

    ye tar-dāman vahī haiñ jin dāman paak hotā hai

    ḳhayāl aatā hai badnāmī āshiq qatl hote haiñ

    ki māshūqoñ ko nām-e-āshiqī se paak hotā hai

    asar se merī vahshat ke koī jaama nahīñ sābit

    maiñ suntā huuñ garebāñ har kafan chaak hotā hai

    maiñ kah detā huuñ ho aa kar zulf ke kūche meñ dam-bhar ko

    kisī din jab bahut muztar dil-e-ġhamnāk hotā hai

    pahuñch jaa.e haqīqat tak tirī ye ġhair-mumkin hai

    bahut go tujh se vāqif sāhab-e-idrāk hotā hai

    'rashīd'-e-zār kyuuñ ḳhush ḳhush na jaa.e qabr jānib

    mayassar aaj dīdār-e-shah-e-laulāk hotā hai

    dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai

    baDa be-rahm hota hai baDa bebak hota hai

    KHushi hogi halak apna dil-e-sad-chaak hota hai

    kahan ab aarzu ghar hasraton ka KHak hota hai

    tumhaari tegh mujh se chupke chupke kahti jati hai

    mubarak ho ki ye sar zinat-e-fitrak hota hai

    tujhe allah ne baKHsha hai kaisa rutba-e-ali

    ki tera naqsh-e-pa taj-e-sar-e-aflak hota hai

    qarib aaya hai waqt ai jaan-e-jaan ab dam nikalne ka

    tere kuche se hum uThte hain jhagDa pak hota hai

    jo pite hain sharab un ki mohabbat mein nahin aasi

    ye tar-daman wahi hain jin ka daman pak hota hai

    KHayal aata hai badnami ka aashiq qatl hote hain

    ki mashuqon ko nam-e-ashiqi se pak hota hai

    asar se meri wahshat ke koi jama nahin sabit

    main sunta hun gareban har kafan ka chaak hota hai

    main kah deta hun ho aa kar zulf ke kuche mein dam-bhar ko

    kisi din jab bahut muztar dil-e-ghamnak hota hai

    pahunch jae haqiqat tak teri ye ghair-mumkin hai

    bahut go tujh se waqif sahab-e-idrak hota hai

    'rashid'-e-zar kyun KHush KHush na jae qabr ki jaanib

    mayassar aaj didar-e-shah-e-laulak hota hai

    Source :
    • Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-143 page-129)
    • Author : Piyare Sahab Rasheed
    • Edition : 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now