dila na apni mohabbat ka etibar mujhe
dilā na apnī mohabbat kā e'tibār mujhe
ḳhudā ke vāste rahne de sogvār mujhe
nahīñ hai manzar-e-hastī pe e'tibār mujhe
mashiyyatoñ ne diyā hai dil-e-figār mujhe
har ik maqām pe shākī hai aadmī kī nazar
na raas aayā tajassus kā kārobār mujhe
firāq-e-dost kā ġham ho ki ho nashāt-e-hayāt
nahīñ hai ab kisī hālat pe e'tibār mujhe
nigāh-e-shauq ko kyoñ zahmat-e-takallum duuñ
ḳhizāñ kā rang hai pairāhan-e-bahār mujhe
ḳhulūs-e-ishq kī tauhīn hai navā-e-alam
fuġhān-e-shauq na kar aur sharmsār mujhe
junūn-e-ishq kī nairangiyāñ ma.āz-allāh
kiyā bahār meñ āzurda-e-bahār mujhe
dila na apni mohabbat ka e'tibar mujhe
KHuda ke waste rahne de sogwar mujhe
nahin hai manzar-e-hasti pe e'tibar mujhe
mashiyyaton ne diya hai dil-e-figar mujhe
har ek maqam pe shaki hai aadmi ki nazar
na ras aaya tajassus ka karobar mujhe
firaq-e-dost ka gham ho ki ho nashat-e-hayat
nahin hai ab kisi haalat pe e'tibar mujhe
nigah-e-shauq ko kyon zahmat-e-takallum dun
KHizan ka rang hai pairahan-e-bahaar mujhe
KHulus-e-ishq ki tauhin hai nawa-e-alam
fughan-e-shauq na kar aur sharmsar mujhe
junun-e-ishq ki nairangiyan maaz-allah
kiya bahaar mein aazurda-e-bahaar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.