dilasa dene neki ke farishte roz aate hain
dilāsa dene nekī ke farishte roz aate haiñ
mirī TuuTī huī chhat par parinde roz aate haiñ
mirī majbūriyoñ ne bāñdh rakkhā hai mujhe varna
mire bachchoñ ke sapnoñ meñ khilaune roz aate haiñ
talāsh-e-rizq meñ aksar siyāne gaañv ke laḌke
hamāre shahr meñ rickshaw chalāne roz aate haiñ
tavāf-e-ishq kā armān le kar āsmānoñ se
hamāre ka.aba-e-dil meñ farishte roz aate haiñ
hamāre gaañv ke sarpanch ko fursat nahīñ miltī
yahāñ har pal miyāñ biivī ke jhagḌe roz aate haiñ
ise sammān maiñ samjhūñ yā phir apmān jīvan kā
mirī rāhoñ meñ barbādī ke kāñTe roz aate haiñ
'amīn' āvāz detā hai koī majzūb galiyoñ meñ
musalmānoñ kī bastī meñ farishte roz aate haiñ
dilasa dene neki ke farishte roz aate hain
meri TuTi hui chhat par parinde roz aate hain
meri majburiyon ne bandh rakkha hai mujhe warna
mere bachchon ke sapnon mein khilaune roz aate hain
talash-e-rizq mein aksar siyane ganw ke laDke
hamare shahr mein rickshaw chalane roz aate hain
tawaf-e-ishq ka arman le kar aasmanon se
hamare kaba-e-dil mein farishte roz aate hain
hamare ganw ke sarpanch ko fursat nahin milti
yahan har pal miyan biwi ke jhagDe roz aate hain
ise samman main samjhun ya phir apman jiwan ka
meri rahon mein barbaadi ke kanTe roz aate hain
'amin' aawaz deta hai koi majzub galiyon mein
musalmanon ki basti mein farishte roz aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.