dilbar ho dilruba ho zamana gawah hai
dilbar ho dilrubā ho zamāna gavāh hai
tum phir bhī bevafā ho zamāna gavāh hai
shabnam ho gul ho nik.hat-o-naġhma ho bā-ḳhudā
tāham sharar-navā ho zamāna gavāh hai
āhang-e-dil kī baat na samjhoge tum kabhī
ik sāz-e-be-sadā ho zamāna gavāh hai
ham to haiñ janm janm se ā.īna-āshnā
tum sang-āshnā ho zamāna gavāh hai
ye shām-e-ġham ye karb ye tanhā.iyāñ mirī
har shai ke tum ḳhudā ho zamāna gavāh hai
har fikr merī ek ġhazal hai ġhazal ke tum
ik tang qāfiya ho zamāna gavāh hai
ilzām tum par aa.egā hogī jo ġharq-e-āb
kashtī ke nāḳhudā ho zamāna gavāh hai
dilbar ho dilruba ho zamana gawah hai
tum phir bhi bewafa ho zamana gawah hai
shabnam ho gul ho nikhat-o-naghma ho ba-KHuda
taham sharar-nawa ho zamana gawah hai
aahang-e-dil ki baat na samjhoge tum kabhi
ek saz-e-be-sada ho zamana gawah hai
hum to hain janm janm se aaina-ashna
tum sang-ashna ho zamana gawah hai
ye sham-e-gham ye karb ye tanhaiyan meri
har shai ke tum KHuda ho zamana gawah hai
har fikr meri ek ghazal hai ghazal ke tum
ek tang qafiya ho zamana gawah hai
ilzam tum par aaega hogi jo gharq-e-ab
kashti ke naKHuda ho zamana gawah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.