Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilbar ka kya gila koi gham-KHwar bhi nahin

Nasiri Lakhnavi

dilbar ka kya gila koi gham-KHwar bhi nahin

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    dilbar kyā gila koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ

    pahlū meñ aaj to dil-e-bīmār bhī nahīñ

    marnā vo jis ko hīla-o-āzār bhī nahīñ

    qātil vo jis ke haath meñ talvār bhī nahīñ

    taskīn-e-dil muhāl hai hālat kahe baġhair

    is par sitam ki tāqat-e-guftār bhī nahīñ

    mahv-e-jamāl ho ke marūñ aarzū ye hai

    hālat ye hai ki tāqat-e-dīdār bhī nahīñ

    allah re e'tibār adā-o-nigāh par

    maqtal meñ aa.e haath meñ talvār bhī nahīñ

    dilbar ka kya gila koi gham-KHwar bhi nahin

    pahlu mein aaj to dil-e-bimar bhi nahin

    marna wo jis ko hila-o-azar bhi nahin

    qatil wo jis ke hath mein talwar bhi nahin

    taskin-e-dil muhaal hai haalat kahe baghair

    is par sitam ki taqat-e-guftar bhi nahin

    mahw-e-jamal ho ke marun aarzu ye hai

    haalat ye hai ki taqat-e-didar bhi nahin

    allah re e'tibar ada-o-nigah par

    maqtal mein aae hath mein talwar bhi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now