dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun
dilbar ko dilbarī suuñ manā yaar kar rakhūñ
pītam ko apne piit suuñ gulhār kar rakhūñ
ek naum suuñ jagā.ūñ agar murda dil ke ta.iiñ
tā-hashr yād-e-haq mane bedār kar rakhūñ
rahtā hai dil har ek kā har ek kaam meñ
apnā ḳhayāl sūrat-e-parkār kar rakhūñ
distā hai mujh ko yaar kā ruḳhsār-e-gul-izār
tis kī ḳhushī suuñ tab' ko gulzār kar rakhūñ
manke ko man ke lā.ūñ phirāne kā jab ḳhayāl
tasbīh badan kī toḌ ke ek taar kar rakhūñ
pītam ke baaj nahīñ hai mirā iḳhtiyār kuchh
mujh dil ko tis ke amr meñ muḳhtār kar rakhūñ
be-sar agar achhe to use sar karūñ 'atā
donoñ jahāñ meñ sāhab-e-asrār kar rakhūñ
andhe ke ta.iiñ 'alīm' lagā ishq kā añjan
sab vāsilāñ meñ vāsil-e-dīdār kar rakhūñ
dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun
pitam ko apne pit sun gulhaar kar rakhun
ek naum sun jagaun agar murda dil ke tain
ta-hashr yaad-e-haq mane bedar kar rakhun
rahta hai dil har ek ka har ek kaam mein
apna KHayal surat-e-parkar kar rakhun
dista hai mujh ko yar ka ruKHsar-e-gul-izar
tis ki KHushi sun tab' ko gulzar kar rakhun
manke ko man ke laun phirane ka jab KHayal
tasbih badan ki toD ke ek tar kar rakhun
pitam ke baj nahin hai mera iKHtiyar kuchh
mujh dil ko tis ke amr mein muKHtar kar rakhun
be-sar agar achhe to use sar karun 'ata
donon jahan mein sahab-e-asrar kar rakhun
andhe ke tain 'alim' laga ishq ka anjan
sab wasilan mein wasil-e-didar kar rakhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.