dilbar se dard-e-dil na kahun hae kab talak
dilbar se dard-e-dil na kahūñ haa.e kab talak
ḳhāmosh us ke ġham meñ rahūñ haa.e kab talak
us shoḳh se judā maiñ rahūñ haa.e kab talak
ye zulm ye sitam maiñ sahūñ haa.e kab talak
rahtā hai roz hijr meñ zālim ke ġham mujhe
is dukh se dekhiye ki chhuTūñ haa.e kab talak
aa.ī bahār jā.iye sahrā meñ shahr chhoḌ
muj ko junūñ hai ghar meñ rahūñ haa.e kab talak
zālim ko Tuk bhī rahm mire haal par nahīñ
'tābāñ' maiñ us ke jaur sahūñ haa.e kab talak
dilbar se dard-e-dil na kahun hae kab talak
KHamosh us ke gham mein rahun hae kab talak
us shoKH se juda main rahun hae kab talak
ye zulm ye sitam main sahun hae kab talak
rahta hai roz hijr mein zalim ke gham mujhe
is dukh se dekhiye ki chhuTun hae kab talak
aai bahaar jaiye sahra mein shahr chhoD
muj ko junun hai ghar mein rahun hae kab talak
zalim ko Tuk bhi rahm mere haal par nahin
'taban' main us ke jaur sahun hae kab talak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.