dilbar se dil-lagi ka maza humse puchhiye
dilbar se dil-lagi ka maza humse puchhiye
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
dilbar se dil-lagī kā mazā ham se pūchhiye
vallāh āshiqī kā mazā ham se pūchhiye
patlī galī kī sair se vāqif nahīñ haiñ aap
hotā hai kyā galī kā mazā ham se pūchhiye
gāñjā charas afiim kī har qismeñ dosto
ik pal meñ ik sadī kā mazā ham se pūchhiye
Tāñgeñ ragaḌ ke marne se behtar hai ā.īye
leñ kaise zindagī kā mazā ham se pūchhiye
side se na chale ye chale Wrong har ghaḌī
qismat kī phaTphaTī kā mazā ham se pūchhiye
bhaTiyār-ḳhāne kā koī pakvān to nahīñ
'vāhid' kī shā.erī kā mazā ham se pūchhiye
dilbar se dil-lagi ka maza hum se puchhiye
wallah aashiqi ka maza hum se puchhiye
patli gali ki sair se waqif nahin hain aap
hota hai kya gali ka maza hum se puchhiye
ganja charas afim ki har qismen dosto
ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye
Tangen ragaD ke marne se behtar hai aaiye
len kaise zindagi ka maza hum se puchhiye
side se na chale ye chale Wrong har ghaDi
qismat ki phaTphaTi ka maza hum se puchhiye
bhaTiyar-KHane ka koi pakwan to nahin
'wahid' ki shaeri ka maza hum se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.