dilon ka haal wo be-etibar kya jaane
diloñ kā haal vo be-e'tibār kyā jaane
jise na pyaar milā ho vo pyaar kyā jaane
adā se aa.ī chaman meñ adā se lauT ga.ī
guloñ pe biit ga.ī kyā bahār kyā jaane
na koī ḳhvāb hai āñkhoñ meñ aur na be-ḳhvābī
kahāñ rukī hai shab-e-intizār kyā jaane
use bhulā.e hue muddateñ huiiñ lekin
ye kaun chhūtā hai dil baar baar kyā jaane
phir ek baar chalo us galī meñ ho aa.eñ
vo mil hī jaa.e sar-e-rahguzār kyā jaane
dilon ka haal wo be-e'tibar kya jaane
jise na pyar mila ho wo pyar kya jaane
ada se aai chaman mein ada se lauT gai
gulon pe bit gai kya bahaar kya jaane
na koi KHwab hai aankhon mein aur na be-KHwabi
kahan ruki hai shab-e-intizar kya jaane
use bhulae hue muddaten huin lekin
ye kaun chhuta hai dil bar bar kya jaane
phir ek bar chalo us gali mein ho aaen
wo mil hi jae sar-e-rahguzar kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.