dilon ke darmiyan jis waqt ye zamana paDa
diloñ ke darmiyāñ jis vaqt ye zamānā paḌā
dayār-e-ishq se bāhar nikal ke aanā paḌā
kisī ko haq thā jahāñ chāhe rāstā badle
kisī ko umr talak rābta nibhānā paḌā
pasīna ham ne bahāyā na jang se pahle
tabhī to ham ko lahū jang meñ bahānā paḌā
koī samajhtā mire dil kī kaifiyat us pal
tumhārā aks rah-e-dil se jab miTānā paḌā
kise ḳhabar ki sukūñ kī talāsh meñ ham ko
hayāt-e-fānī meñ kitnoñ se dil lagānā paḌā
dilon ke darmiyan jis waqt ye zamana paDa
dayar-e-ishq se bahar nikal ke aana paDa
kisi ko haq tha jahan chahe rasta badle
kisi ko umr talak rabta nibhana paDa
pasina hum ne bahaya na jang se pahle
tabhi to hum ko lahu jang mein bahana paDa
koi samajhta mere dil ki kaifiyat us pal
tumhaara aks rah-e-dil se jab miTana paDa
kise KHabar ki sukun ki talash mein hum ko
hayat-e-fani mein kitnon se dil lagana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.