dilon ke soKHta ujDe makan se
diloñ ke soḳhta ujḌe makāñ se
ye mat pūchho dhuāñ uTThā kahāñ se
jahāñ āvāz thak kar baiTh jaa.e
mujhe āvāz denā tum vahāñ se
abhī tak paañv kā kāñTā na niklā
sukūñ maiñ DhūñD kar lā.ūñ kahāñ se
in āñkhoñ meñ basī hai raushnī sī
guzar kar aa.e haiñ ham kahkashāñ se
mahak aatī nahīñ dhartī kī in se
uThā le jaao rangoñ ko yahāñ se
dilon ke soKHta ujDe makan se
ye mat puchho dhuan uTTha kahan se
jahan aawaz thak kar baiTh jae
mujhe aawaz dena tum wahan se
abhi tak panw ka kanTa na nikla
sukun main DhunD kar laun kahan se
in aankhon mein basi hai raushni si
guzar kar aae hain hum kahkashan se
mahak aati nahin dharti ki in se
uTha le jao rangon ko yahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.