dilon ki baat nazar se kahi nahin jati
diloñ kī baat nazar se kahī nahīñ jaatī
kahī bhī jaa.e to shāyad sunī nahīñ jaatī
kisī ke tark-e-mohabbat ke ba.ad bhī ai dost
ḳhulūs-e-ishq kī shā.istagī nahīñ jaatī
kabhī kabhī to nazar ke bhī diip bujhte haiñ
charāġh-e-dil kī magar raushnī nahīñ jaatī
hai itnā aam yahāñ apnī raushnī kā chalan
shaboñ ke zehnoñ se kyoñ tīrgī nahīñ jaatī
ik umr kaT ga.ī samjhauta ho gayā phir bhī
mizāj-e-dost tirī be-ruḳhī nahīñ jaatī
ye sach hai pyaas nigāhoñ kī bujh to jaatī hai
diloñ kī 'nāz' magar tishnagī nahīñ jaatī
dilon ki baat nazar se kahi nahin jati
kahi bhi jae to shayad suni nahin jati
kisi ke tark-e-mohabbat ke baad bhi ai dost
KHulus-e-ishq ki shaistagi nahin jati
kabhi kabhi to nazar ke bhi dip bujhte hain
charagh-e-dil ki magar raushni nahin jati
hai itna aam yahan apni raushni ka chalan
shabon ke zehnon se kyon tirgi nahin jati
ek umr kaT gai samjhauta ho gaya phir bhi
mizaj-e-dost teri be-ruKHi nahin jati
ye sach hai pyas nigahon ki bujh to jati hai
dilon ki 'naz' magar tishnagi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.