dilon ko rahta hai kuchh din bharam mohabbat ka
diloñ ko rahtā hai kuchh din bharam mohabbat kā
bigāḌ dete haiñ phir huliya ham mohabbat kā
ye vo huā hai jo barsoñ ġhubār uḌātī hai
dinoñ meñ jaatā nahīñ dost ġham mohabbat kā
havas dilātī hai mujh ko bhī ishtihā lekin
lihāz kartā huuñ terī qasam mohabbat kā
hamāre paas nahīñ ġham kā aur koī tiryāq
namīda āñkhoñ pe karte haiñ dam mohabbat kā
haqīqatan the kabhī ham nihāl jazboñ meñ
aur ab to ḳhvāb bhī aatā hai kam mohabbat kā
tumhāre saath bhalā kis tarah nibhegī 'hasan'
tumhārā buġhz hai merā dharam mohabbat kā
dilon ko rahta hai kuchh din bharam mohabbat ka
bigaD dete hain phir huliya hum mohabbat ka
ye wo hua hai jo barson ghubar uDati hai
dinon mein jata nahin dost gham mohabbat ka
hawas dilati hai mujh ko bhi ishtiha lekin
lihaz karta hun teri qasam mohabbat ka
hamare pas nahin gham ka aur koi tiryaq
namida aankhon pe karte hain dam mohabbat ka
haqiqatan the kabhi hum nihaal jazbon mein
aur ab to KHwab bhi aata hai kam mohabbat ka
tumhaare sath bhala kis tarah nibhegi 'hasan'
tumhaara bughz hai mera dharam mohabbat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.