dilon mein bughz ke KHane na hote
diloñ meñ buġhz ke ḳhāne na hote
to apne log begāne na hote
vafā ko DhūñDtī phirtī ye duniyā
agar ham jaise dīvāne na hote
na ham ko ġham agar aatā mayassar
to lutf-e-zindagī jaane na hote
kahāñ thā ham se rindoñ kā Thikāna
agar bastī meñ mai-ḳhāne na hote
na luTte ham agar yaaro luTere
hamāre jāne-pahchāne na hote
kahāñ ham bojh dil kā karte halkā
jo rone ko tire shāne na hote
zabān-e-hāl par achchhā thā 'gauhar'
agar maazī ke afsāne na hote
dilon mein bughz ke KHane na hote
to apne log begane na hote
wafa ko DhunDti phirti ye duniya
agar hum jaise diwane na hote
na hum ko gham agar aata mayassar
to lutf-e-zindagi jaane na hote
kahan tha hum se rindon ka Thikana
agar basti mein mai-KHane na hote
na luTte hum agar yaro luTere
hamare jaane-pahchane na hote
kahan hum bojh dil ka karte halka
jo rone ko tere shane na hote
zaban-e-haal par achchha tha 'gauhar'
agar mazi ke afsane na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.