dilon mein duriyan aur fasle rakkhe hue hain
diloñ meñ dūriyāñ aur fāsle rakkhe hue haiñ
ba-zāhir har kisī se rābte rakkhe hue haiñ
ba-nām-e-zindagi kuchh qā.ede rakkhe hue haiñ
nazar ne apne apne zāviye rakkhe hue haiñ
baḌī tanzīm aur tadrīj se ghāyal huā huuñ
sitamgar ne sitam ke zābte rakkhe hue haiñ
hamārā to yahāñ par aur masraf hī nahīñ hai
jahāñ meñ ham tumhāre vāste rakkhe hue haiñ
mujhe mere alāva kuchh nazar aa.e to kaise
mire atrāf meñ to aa.ine rakkhe hue haiñ
jahāñ se bhī guzartā huuñ ulajh jaate haiñ paañv
zamīñ par har taraf hī dā.ere rakkhe hue haiñ
hamāre kul asāse kī koī qīmat to hogī
jo kuchh bhī hai tumhāre sāmne rakkhe hue haiñ
dilon mein duriyan aur fasle rakkhe hue hain
ba-zahir har kisi se rabte rakkhe hue hain
ba-nam-e-zindagi kuchh qaede rakkhe hue hain
nazar ne apne apne zawiye rakkhe hue hain
baDi tanzim aur tadrij se ghayal hua hun
sitamgar ne sitam ke zabte rakkhe hue hain
hamara to yahan par aur masraf hi nahin hai
jahan mein hum tumhaare waste rakkhe hue hain
mujhe mere alawa kuchh nazar aae to kaise
mere atraf mein to aaine rakkhe hue hain
jahan se bhi guzarta hun ulajh jate hain panw
zamin par har taraf hi daere rakkhe hue hain
hamare kul asase ki koi qimat to hogi
jo kuchh bhi hai tumhaare samne rakkhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.