dilon mein jab guman honge makin aahista aahista
dilon mein jab guman honge makin aahista aahista
Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
MORE BYRukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
diloñ meñ jab gumāñ hoñge makīñ āhista āhista
to dhuñdlā jā.egā nūr-e-yaqīñ āhista āhista
dil-e-nādāñ abhī ḳhūgar nahīñ ye ġham uThāne kā
uThegī tere dar se ye jabīñ āhista āhista
nazar manzil pe ho to iḳhtilāf-e-rāh kā ġham kyā
pahuñchtī haiñ sabhī rāheñ vahīñ āhista āhista
kashish merī vafāoñ kī kahāñ tak rā.egāñ jaatī
jhukī merī taraf lauh-e-jabīñ āhista āhista
mire ahbāb ne us ko kiyā mujh se judā juuñ juuñ
vo aatā hī gayā mere qarīñ āhista āhista
lahū Tapkā hai rafta-rafta mizhgān-e-muġhannī se
huā hai ḳhush dil-e-andoh-gīñ āhista āhista
mire anfās kī har zarb thī kaarī se kārī-tar
karam farmā huā arsh-e-barīñ āhista āhista
huā taarī jumūd āfāq ke rangīñ ishāroñ par
huī gardish se be-bahra zamīñ āhista āhista
madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal saañs lene de
sukhā lene de bhīgī āstīñ āhista āhista
ḳhudārā bas isī andāz se inkār kartā jā
banī jaatī hai haañ terī nahīñ āhista āhista
maiñ apne hoñT sī Dālūñgī lekin ye na dekhūñgī
pashemāñ ho nigāh-e-sharmagīñ āhista āhista
bahut āsāñ na samjho sang-dil dil mom ho jaanā
utartī hai nigāh-e-avvalīñ āhista āhista
koī jazba hai shāyad tujh meñ 'hānī' nā-tamām ab bhī
sunī hai dil meñ aahaT sī kahīñ āhista āhista
dilon mein jab guman honge makin aahista aahista
to dhundla jaega nur-e-yaqin aahista aahista
dil-e-nadan abhi KHugar nahin ye gham uThane ka
uThegi tere dar se ye jabin aahista aahista
nazar manzil pe ho to iKHtilaf-e-rah ka gham kya
pahunchti hain sabhi rahen wahin aahista aahista
kashish meri wafaon ki kahan tak raegan jati
jhuki meri taraf lauh-e-jabin aahista aahista
mere ahbab ne us ko kiya mujh se juda jun jun
wo aata hi gaya mere qarin aahista aahista
lahu Tapka hai rafta-rafta mizhgan-e-mughanni se
hua hai KHush dil-e-andoh-gin aahista aahista
mere anfas ki har zarb thi kari se kari-tar
karam farma hua arsh-e-barin aahista aahista
hua tari jumud aafaq ke rangin ishaaron par
hui gardish se be-bahra zamin aahista aahista
madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal sans lene de
sukha lene de bhigi aastin aahista aahista
KHudara bas isi andaz se inkar karta ja
bani jati hai han teri nahin aahista aahista
main apne honT si Dalungi lekin ye na dekhungi
pasheman ho nigah-e-sharmagin aahista aahista
bahut aasan na samjho sang-dil dil mom ho jaana
utarti hai nigah-e-awwalin aahista aahista
koi jazba hai shayad tujh mein 'hani' na-tamam ab bhi
suni hai dil mein aahaT si kahin aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.