dilon mein jalwa-fagan yaad-e-raftagan hai abhi
dilon mein jalwa-fagan yaad-e-raftagan hai abhi
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
diloñ meñ jalva-fagan yād-e-raftagāñ hai abhī
charāġh bujh ga.e saare magar dhuāñ hai abhī
ḳhayāl-e-yār meñ pūchho na dil kahāñ hai abhī
ḳhayāl tak nahīñ pahuñche jahāñ vahāñ hai abhī
jalā ke ḳhaak kiyā barq ne haqīqat hai
magar chaman meñ mirī ḳhāk-e-āshiyāñ hai abhī
ḳhushī kī baat na kar ishratoñ kā zikr na chheḌ
ġham-e-hayāt mirī zeb-e-dāstāñ hai abhī
kaho to ḳhuld banā duuñ maiñ apne dāman par
ki fart-e-ġham se ravāñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ hai abhī
rukī rukī huī chaltī hai merī nabz-e-hayāt
kahāñ hai rashk-e-masīhā ki tan meñ jaañ hai abhī
ḳharīd le kisī yūsuf ko mere dil ko na dekh
ye jins husn ke bāzār meñ garāñ hai abhī
chaman se haath uThā luuñ maiñ kyoñ chaman vaalo
ki shāḳh shāḳh pe merā hī āshiyāñ hai abhī
kahāñ hai manzil-e-hastī kise ḳhabar 'ahsan'
ye jānte haiñ faqat kārvāñ ravāñ hai abhī
dilon mein jalwa-fagan yaad-e-raftagan hai abhi
charagh bujh gae sare magar dhuan hai abhi
KHayal-e-yar mein puchho na dil kahan hai abhi
KHayal tak nahin pahunche jahan wahan hai abhi
jala ke KHak kiya barq ne haqiqat hai
magar chaman mein meri KHak-e-ashiyan hai abhi
KHushi ki baat na kar ishraton ka zikr na chheD
gham-e-hayat meri zeb-e-dastan hai abhi
kaho to KHuld bana dun main apne daman par
ki fart-e-gham se rawan chashm-e-KHun-fishan hai abhi
ruki ruki hui chalti hai meri nabz-e-hayat
kahan hai rashk-e-masiha ki tan mein jaan hai abhi
KHarid le kisi yusuf ko mere dil ko na dekh
ye jins husn ke bazar mein garan hai abhi
chaman se hath uTha lun main kyon chaman walo
ki shaKH shaKH pe mera hi aashiyan hai abhi
kahan hai manzil-e-hasti kise KHabar 'ahsan'
ye jaante hain faqat karwan rawan hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.