dilon mein jazba-e-nafrat hai kya kiya jae
diloñ meñ jazba-e-nafrat hai kyā kiyā jaa.e
zabāñ pe da.avā-e-ulfat hai kyā kiyā jaa.e
hazār qism ke ilzām sun ke bhī chup haiñ
hamārā jurm sharāfat hai kyā kiyā jaa.e
na dushmanoñ se adāvat na dostoñ kā lihāz
isī kā naam sadāqat hai kyā kiyā jaa.e
hamāre siine meñ patthar nahīñ hai ai logo
hameñ bhī pās-e-mohabbat hai kyā kiyā jaa.e
dūkān-e-ilm-o-hunar kyoñ sajā na le koī
ye rāz-e-izzat-o-shohrat hai kyā kiyā jaa.e
ye ik ḳhalish ye tajassus ye hasratoñ kā hujūm
isī se ziist ibārat hai kyā kiyā jaa.e
badal ke dekhe bhī uslūb tishnagī na ga.ī
dil-o-nazar kī hikāyat hai kyā kiyā jaa.e
maiñ ḳhud ḳhulūs se apne bahut pareshāñ huuñ
ab is kī kis ko zarūrat hai kyā kiyā jaa.e
zamāna-sāzī ko duniyā hunar kahe lekin
jab is ḳhayāl se nafrat hai kyā kiyā jaa.e
dilon mein jazba-e-nafrat hai kya kiya jae
zaban pe dawa-e-ulfat hai kya kiya jae
hazar qism ke ilzam sun ke bhi chup hain
hamara jurm sharafat hai kya kiya jae
na dushmanon se adawat na doston ka lihaz
isi ka nam sadaqat hai kya kiya jae
hamare sine mein patthar nahin hai ai logo
hamein bhi pas-e-mohabbat hai kya kiya jae
dukan-e-ilm-o-hunar kyon saja na le koi
ye raaz-e-izzat-o-shohrat hai kya kiya jae
ye ek KHalish ye tajassus ye hasraton ka hujum
isi se zist ibarat hai kya kiya jae
badal ke dekhe bhi uslub tishnagi na gai
dil-o-nazar ki hikayat hai kya kiya jae
main KHud KHulus se apne bahut pareshan hun
ab is ki kis ko zarurat hai kya kiya jae
zamana-sazi ko duniya hunar kahe lekin
jab is KHayal se nafrat hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.