dilon mein KHauf ke chulhe ki aag ThanDi ho
diloñ meñ ḳhauf ke chūlhe kī aag ThanDī ho
kabhī na milne-milāne kī aag ThanDī ho
ham ek saath uThā laa.e the ye hijr kī aag
ḳhudā kare, tire hisse kī aag ThanDī ho
pighal rahe haiñ ham ik fāsle pe baiThe hue
gale lago ki ye siine kī aag ThanDī ho
pukārtā hai mujhe kyuuñ abhī se dūsrā ishq
abhī to fikr hai pahle kī aag ThanDī ho
maiñ is liye bhī tirī haañ meñ haañ milātā rahā
kisī tarah tire lahje kī aag ThanDī ho
mire harīf se kah do use muaaf kiyā
maiñ chāhtā huuñ ki badle kī aag ThanDī ho
dilon mein KHauf ke chulhe ki aag ThanDi ho
kabhi na milne-milane ki aag ThanDi ho
hum ek sath uTha lae the ye hijr ki aag
KHuda kare, tere hisse ki aag ThanDi ho
pighal rahe hain hum ek fasle pe baiThe hue
gale lago ki ye sine ki aag ThanDi ho
pukarta hai mujhe kyun abhi se dusra ishq
abhi to fikr hai pahle ki aag ThanDi ho
main is liye bhi teri han mein han milata raha
kisi tarah tere lahje ki aag ThanDi ho
mere harif se kah do use muaf kiya
main chahta hun ki badle ki aag ThanDi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.