dilon mein lag rahe pahre kahin the
diloñ meñ lag rahe pahre kahīñ the
kisī kā to fasāna chal rahā hai
chalī jo baat ulfat kī hamārī
kahā sab ne divāna chal rahā hai
divāna ban phirā maiñ dar-ba-dar thā
mohabbat meñ nibhānā chal rahā hai
tumhārī muskurāhaT kyā huī thī
hamārā gungunānā chal rahā hai
kiyā va.ada tumheñ jo vo sila thā
sabab palkeñ bichhānā chal rahā hai
dilon mein lag rahe pahre kahin the
kisi ka to fasana chal raha hai
chali jo baat ulfat ki hamari
kaha sab ne diwana chal raha hai
diwana ban phira main dar-ba-dar tha
mohabbat mein nibhana chal raha hai
tumhaari muskurahaT kya hui thi
hamara gungunana chal raha hai
kiya wada tumhein jo wo sila tha
sabab palken bichhana chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.