dilon mein midhat-e-rahman hum bhi rakhte hain
diloñ meñ mid.hat-e-rahmān ham bhī rakhte haiñ
vaqār-e-azmat-e-qur.ān ham bhī rakhte haiñ
shu.ūr-o-fikr to har aan ham bhī rakhte haiñ
bure-bhale kī to pahchān ham bhī rakhte haiñ
kaho na murda hameñ jaan ham bhī rakhte haiñ
ragoñ meñ ḳhuun kā daurān ham bhī rakhte haiñ
hameñ banāyā gayā hai sadāqatoñ kā amiiñ
diloñ meñ jazba-e-īmān ham bhī rakhte haiñ
tum apne zulm ko roko na ham se Takrāo
vagarna quvvat-e-sultān ham bhī rakhte haiñ
kisī bhī zarb se hargiz ḳhatā nahīñ hoñge
saroñ meñ apne vo ausān ham bhī rakhte haiñ
kisī ke saath kam-o-besh kā amal na karo
nazar ke sāmne mīzān ham bhī rakhte haiñ
bas ek tum hī nahīñ 'yās' haq-parastoñ meñ
ḳhudā kī zaat pe īmān ham bhī rakhte haiñ
dilon mein midhat-e-rahman hum bhi rakhte hain
waqar-e-azmat-e-quran hum bhi rakhte hain
shuur-o-fikr to har aan hum bhi rakhte hain
bure-bhale ki to pahchan hum bhi rakhte hain
kaho na murda hamein jaan hum bhi rakhte hain
ragon mein KHun ka dauran hum bhi rakhte hain
hamein banaya gaya hai sadaqaton ka amin
dilon mein jazba-e-iman hum bhi rakhte hain
tum apne zulm ko roko na hum se Takrao
wagarna quwwat-e-sultan hum bhi rakhte hain
kisi bhi zarb se hargiz KHata nahin honge
saron mein apne wo ausan hum bhi rakhte hain
kisi ke sath kam-o-besh ka amal na karo
nazar ke samne mizan hum bhi rakhte hain
bas ek tum hi nahin 'yas' haq-paraston mein
KHuda ki zat pe iman hum bhi rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.