dilon mein mohabbat ki mahshar-taraazi
diloñ meñ mohabbat kī mahshar-tarāzī
nazar se nazar kī magar be-niyāzī
bahut Thokareñ rāh-e-ulfat meñ khā.īñ
magar shauq kī hai vahī hīla-sāzī
na rakhtā zamāne se koī ta.alluq
ḳhushā ḳhud-farebī zahe be-niyāzī
rahe mutma.in ho ke pāmāl-e-ulfat
kuchh aisā thā afsūn-e-banda-navāzī
ye kis ko ḳhabar thī ki jān-e-tamannā
hai ma.asūm nazroñ meñ fitna-tarāzī
ubhar aa.e kuchh aur taare jabīñ par
mire ashk-e-ġham ko milī sarfarāzī
satātī nahīñ fikr-e-manzil-rasī ab
ki raas aa ga.ī hai safar kī darāzī
ḳhatāoñ pe hai harf-gīrī ki vaa.iz
nahīñ vāqif-e-shān-e-banda-navāzī
dilon mein mohabbat ki mahshar-taraazi
nazar se nazar ki magar be-niyazi
bahut Thokaren rah-e-ulfat mein khain
magar shauq ki hai wahi hila-sazi
na rakhta zamane se koi talluq
KHusha KHud-farebi zahe be-niyazi
rahe mutmain ho ke pamal-e-ulfat
kuchh aisa tha afsun-e-banda-nawazi
ye kis ko KHabar thi ki jaan-e-tamanna
hai masum nazron mein fitna-taraazi
ubhar aae kuchh aur tare jabin par
mere ashk-e-gham ko mili sarfaraazi
satati nahin fikr-e-manzil-rasi ab
ki ras aa gai hai safar ki daraazi
KHataon pe hai harf-giri ki waiz
nahin waqif-e-shan-e-banda-nawazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.