dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab
diloñ meñ rahiye jahāñ ke vale ḳhudā ke Dhab
ki ho jahāñ pe na zāhir ye hai mirā maz.hab
mujhe ġharaz nahīñ juz ye ki yaar naala se
asar jalāve hai juuñ dūd-e-shola yā-rab
kahā maiñ raat patañgoñ ko sham.a ke aage
giro ho aañkh meñ ma.ashūq kī ye kyā hai adab
to kahne laage ai 'uzlat' mire se ishq ke na.iiñ
nazar meñ pās-e-adab ham ko jalnā hai matlab
hamārī rākheñ jo le jā sabā so ho kar sub.h
jaleñ haiñ shola-ḳhurshīd par ye dekh ta.ab
jalse hai raakh kahīñ ishq kā hai ye e.ajāz
ajab ye cash hai naam halāk yahāñ hai tarab
kahā maiñ tum kuuñ hai rāhat kī sa.ī jalnā jald
ġhamoñ se chhūTnā aur shohrat us se hai matlab
asar hai ishq kā tum se ziyāda sham.a ke biich
ki umr us kī ka.ī jalte so bhī jāñ-bar-lab
dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab
ki ho jahan pe na zahir ye hai mera mazhab
mujhe gharaz nahin juz ye ki yar nala se
asar jalawe hai jun dud-e-shola ya-rab
kaha main raat patangon ko shama ke aage
giro ho aankh mein mashuq ki ye kya hai adab
to kahne lage ai 'uzlat' mere se ishq ke nain
nazar mein pas-e-adab hum ko jalna hai matlab
hamari rakhen jo le ja saba so ho kar subh
jalen hain shola-KHurshid par ye dekh tab
jalse hai rakh kahin ishq ka hai ye eajaz
ajab ye cash hai nam halak yahan hai tarab
kaha main tum kun hai rahat ki sai jalna jald
ghamon se chhuTna aur shohrat us se hai matlab
asar hai ishq ka tum se ziyaada shama ke bich
ki umr us ki kai jalte so bhi jaan-bar-lab
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.