dilon mein ranjishen hain
diloñ meñ ranjisheñ haiñ
ye kis kī sāzisheñ haiñ
maiñ phir bhī Dar rahā huuñ
ḳhabar hai baḳhshisheñ haiñ
agar dil aa.ina ho
bahut gunjā.isheñ haiñ
baḌhī jaatī hai sozish
ye kaisī bārisheñ haiñ
falak kyā chāhtā hai
musalsal gardisheñ haiñ
dilon mein ranjishen hain
ye kis ki sazishen hain
main phir bhi Dar raha hun
KHabar hai baKHshishen hain
agar dil aaina ho
bahut gunjaishen hain
baDhi jati hai sozish
ye kaisi barishen hain
falak kya chahta hai
musalsal gardishen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.