dilon mein yun to lakhon gham nihan hain
diloñ meñ yuuñ to lākhoñ ġham nihāñ haiñ
magar chehre hamāre shādmāñ haiñ
jahāñ chhoḌā hai mujh ko rahbaroñ ne
vahāñ har kaam par tārīkiyāñ haiñ
inhī se hāl-e-dil paḌh lo hamārā
ki in āñkhoñ kī bhī apnī zabāñ haiñ
use mumkin nahīñ maiñ bhuul jā.ūñ
ki jis kā ġham mire dil meñ nihāñ hai
hameñ badnām har sū kar rahā hai
agarche vo hamārā rāz-dāñ haiñ
jise ḳhud se ziyāda chāhtā thā
vahī ek dost mujh se bad-gumāñ haiñ
hameñ 'rizvān' manzil bhī milegī
agar 'azm-e-safar dil meñ javāñ haiñ
dilon mein yun to lakhon gham nihan hain
magar chehre hamare shadman hain
jahan chhoDa hai mujh ko rahbaron ne
wahan har kaam par tarikiyan hain
inhi se haal-e-dil paDh lo hamara
ki in aankhon ki bhi apni zaban hain
use mumkin nahin main bhul jaun
ki jis ka gham mere dil mein nihan hai
hamein badnam har su kar raha hai
agarche wo hamara raaz-dan hain
jise KHud se ziyaada chahta tha
wahi ek dost mujh se bad-guman hain
hamein 'rizwan' manzil bhi milegi
agar 'azm-e-safar dil mein jawan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.