dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua
diloñ pe chhāne lagā dhaḌkanoñ kī jaan huā
jab ek umr guzārī to maiñ javān huā
jo boltā thā to mujh se shikāyateñ thī bahut
maiñ chup huā to use ḳhauf kā gumān huā
safar kā hauslā rakhtā hai uḌ bhī saktā hai
ye aur baat parinda lahūluhān huā
yahī sabab hai ki har dil meñ jā ke bastā hai
makān jis ne banā.e vo lā-makān huā
koī to hai jo himāyat meñ haq kī niklā hai
ḳhudā kā shukr ki koī to ham-zabān huā
chalo ki pahre uThā deñ ham apne jiine se
ye roz qistoñ meñ marnā azāb-e-jān huā
falak ke chāñd-sitāroñ pe aa ga.ī raunaq
zamīñ se kis kā safar rū-e-āsmān huā
vo ek pyārā sā manzar hai merī āñkhoñ meñ
laḌe khilaunoñ pe bachche maiñ darmiyān huā
hilā na pā.eñgī mujh ko ab āñdhiyāñ 'nāshir'
maiñ bojh sahte hue peḌ se chaTān huā
dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua
jab ek umr guzari to main jawan hua
jo bolta tha to mujh se shikayaten thi bahut
main chup hua to use KHauf ka guman hua
safar ka hausla rakhta hai uD bhi sakta hai
ye aur baat parinda lahuluhan hua
yahi sabab hai ki har dil mein ja ke basta hai
makan jis ne banae wo la-makan hua
koi to hai jo himayat mein haq ki nikla hai
KHuda ka shukr ki koi to ham-zaban hua
chalo ki pahre uTha den hum apne jine se
ye roz qiston mein marna azab-e-jaan hua
falak ke chand-sitaron pe aa gai raunaq
zamin se kis ka safar ru-e-asman hua
wo ek pyara sa manzar hai meri aankhon mein
laDe khilaunon pe bachche main darmiyan hua
hila na paengi mujh ko ab aandhiyan 'nashir'
main bojh sahte hue peD se chaTan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.