dilon pe yun bhi ajab iKHtiyar dekha hai
dilon pe yun bhi ajab iKHtiyar dekha hai
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
diloñ pe yuuñ bhī ajab iḳhtiyār dekhā hai
jo pur-sukūñ the unheñ be-qarār dekhā hai
hilā sake na qadam jin ke bāda-o-sāġhar
unhī pe zulf-o-nazar kā ḳhumār dekhā hai
hai imtizāj ajab rañg-o-husn kā us meñ
ki jis ne dekhā use bār-bār dekhā hai
khulā hai raaz pas-e-marg zaat kā apnī
fazā meñ uḌtā huā jab ġhubār dekhā hai
jo aa sake na kabhī qaid-e-zāt meñ apnī
unhī pe terā sabhī iḳhtiyār dekhā hai
junūñ ne kar bhī liyā paar dard kā sahrā
abhī ḳhirad ko sar-e-rahguzār dekhā hai
bas iztirāb-o-ḳhalish dard-o-āh aur aañsū
har ek dil meñ vafā kā mazār dekhā hai
to kyā lubhā.egī dil ko shaguftagī-e-gul
ki jab nazar ne badan kī bahār dekhā hai
thā jin ko naaz bahut apnī ḳhush-libāsī par
rah-e-junūñ meñ unheñ tār-tār dekhā hai
dilon pe yun bhi ajab iKHtiyar dekha hai
jo pur-sukun the unhen be-qarar dekha hai
hila sake na qadam jin ke baada-o-saghar
unhi pe zulf-o-nazar ka KHumar dekha hai
hai imtizaj ajab rang-o-husn ka us mein
ki jis ne dekha use bar-bar dekha hai
khula hai raaz pas-e-marg zat ka apni
faza mein uDta hua jab ghubar dekha hai
jo aa sake na kabhi qaid-e-zat mein apni
unhi pe tera sabhi iKHtiyar dekha hai
junun ne kar bhi liya par dard ka sahra
abhi KHirad ko sar-e-rahguzar dekha hai
bas iztirab-o-KHalish dard-o-ah aur aansu
har ek dil mein wafa ka mazar dekha hai
to kya lubhaegi dil ko shaguftagi-e-gul
ki jab nazar ne badan ki bahaar dekha hai
tha jin ko naz bahut apni KHush-libasi par
rah-e-junun mein unhen tar-tar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.