dilon se dard ka ehsas ghaTta jata hai
diloñ se dard kā ehsās ghaTtā jaatā hai
ye kushtagāñ kā qabīla simaTtā jaatā hai
khule paroñ pe fazā tang hotī jaatī hai
aur āsmān zamīnoñ meñ baTtā jaatā hai
hazār qurb ke imkān baḌhte jaate haiñ
magar vo hijr kā rishta jo kaTtā jaatā hai
ufuq meñ Dūbtā jaatā hai shāmiyāna-e-zar
savād-e-shām badan se lipaTtā jaatā hai
tulū' hone ko hai phir koī sitāra-e-ġhaib
vo dekh parda-e-aflāk haTtā jaatā hai
dilon se dard ka ehsas ghaTta jata hai
ye kushtagan ka qabila simaTta jata hai
khule paron pe faza tang hoti jati hai
aur aasman zaminon mein baTta jata hai
hazar qurb ke imkan baDhte jate hain
magar wo hijr ka rishta jo kaTta jata hai
ufuq mein Dubta jata hai shamiyana-e-zar
sawad-e-sham badan se lipaTta jata hai
tulu' hone ko hai phir koi sitara-e-ghaib
wo dekh parda-e-aflak haTta jata hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 92)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.