dilon se hoti hui ruh tak utar aai
diloñ se hotī huī ruuh tak utar aa.ī
kisī kī yaad bhī aa.ī to kis qadar aa.ī
tamām raat nahātī rahī thī bārish meñ
tabhī to itnī chamaktī huī sahar aa.ī
kisī ne dil kī kahānī sunā.ī kuchh aise
ki lab ḳhamosh hue aur aañkh bhar aa.ī
talāsh kartī rahī maiñ bhī chār-sū us ko
nigāh vo bhī mujhe DhūñDhtī nazar aa.ī
bahut dinoñ meñ huī dil pe phir vahī dastak
bahut dinoñ meñ 'sabā' apnī kuchh ḳhabar aa.ī
dilon se hoti hui ruh tak utar aai
kisi ki yaad bhi aai to kis qadar aai
tamam raat nahati rahi thi barish mein
tabhi to itni chamakti hui sahar aai
kisi ne dil ki kahani sunai kuchh aise
ki lab KHamosh hue aur aankh bhar aai
talash karti rahi main bhi chaar-su us ko
nigah wo bhi mujhe DhunDhti nazar aai
bahut dinon mein hui dil pe phir wahi dastak
bahut dinon mein 'saba' apni kuchh KHabar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.