dilon se jab dur hogi nafrat nazar nazar mein KHushi milegi
dilon se jab dur hogi nafrat nazar nazar mein KHushi milegi
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
diloñ se jab duur hogī nafrat nazar nazar meñ ḳhushī milegī
jahāñ se tārīkiyāñ miTeñgī qadam qadam raushnī milegī
jahāñ haiñ tūfāñ ke tez dhāre chhupā huā hai vahīñ pe sāhil
fanā kī pur-ḳhauf vādiyoñ meñ tumheñ na.ī zindagī milegī
diloñ meñ jin ke hai azm-e-mohkam unheñ mileñge nishān-e-manzil
bhaTak rahe haiñ jo zulmatoñ meñ unheñ na manzil kabhī milegī
abhī to armān-e-justujū hai ḳhushī kī be-sūd aarzū hai
pahuñch ke manzil pe kyā ḳhabar hai milegā ġham yā ḳhushī milegī
jo ḳhud-ġharaz haiñ unhīñ ko 'anjum' zamāna kahtā hai apnā rahbar
ki jin ke naqsh-e-qadam pe chal kar faqat tumheñ gumrahī milegī
dilon se jab dur hogi nafrat nazar nazar mein KHushi milegi
jahan se tarikiyan miTengi qadam qadam raushni milegi
jahan hain tufan ke tez dhaare chhupa hua hai wahin pe sahil
fana ki pur-KHauf wadiyon mein tumhein nai zindagi milegi
dilon mein jin ke hai azm-e-mohkam unhen milenge nishan-e-manzil
bhaTak rahe hain jo zulmaton mein unhen na manzil kabhi milegi
abhi to arman-e-justuju hai KHushi ki be-sud aarzu hai
pahunch ke manzil pe kya KHabar hai milega gham ya KHushi milegi
jo KHud-gharaz hain unhin ko 'anjum' zamana kahta hai apna rahbar
ki jin ke naqsh-e-qadam pe chal kar faqat tumhein gumrahi milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.