dilon se tark-e-talluq ka Dar nikal jae
diloñ se tark-e-ta.alluq kā Dar nikal jaa.e
tirā mizāj zarā sā agar badal jaa.e
sabhī ke sāmne hai ik hujūm rishtoñ kā
vo kāmrāñ hai jo is bhiiḌ se nikal jaa.e
is irtikāb-e-tamannā pe kyā sazā doge
tumhāre qadmoñ pe koī agar machal jaa.e
mire salām kā rasman bhī dījiye na javāb
mirī taraf se kabhī zehn agar badal jaa.e
sivā.e ik tire chehre ke bhuul kar maiñ ne
agar nigāh uThā.ī ho aañkh jal jaa.e
dilon se tark-e-talluq ka Dar nikal jae
tera mizaj zara sa agar badal jae
sabhi ke samne hai ek hujum rishton ka
wo kaamran hai jo is bhiD se nikal jae
is irtikab-e-tamanna pe kya saza doge
tumhaare qadmon pe koi agar machal jae
mere salam ka rasman bhi dijiye na jawab
meri taraf se kabhi zehn agar badal jae
siwae ek tere chehre ke bhul kar main ne
agar nigah uThai ho aankh jal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.