dilon se uThne lagega dhuan to kya hoga
diloñ se uThne lagegā dhuāñ to kyā hogā
badal gayā kabhī rañg-e-jahāñ to kyā hogā
machal gayā jo dil-e-nā-tavāñ to kyā hogā
uThā na ishq kā bār-e-girāñ to kyā hogā
hameñ fareb-e-mohabbat qubūl hai lekin
jo khul ga.ī kabhī dil kī zabāñ to kyā hogā
ham ahl-e-dil haiñ kisī imtihāñ se kyā Darte
liyā falak ne tirā imtihāñ to kyā hogā
hazār dard sameTe hue huuñ ik dil meñ
bikhar ga.ī jo mirī dāstāñ to kyā hogā
'hayāt' kis ko dikhā.uñgī ābgīna-e-dil
milā na koī yahāñ qadr-dāñ to kyā hogā
dilon se uThne lagega dhuan to kya hoga
badal gaya kabhi rang-e-jahan to kya hoga
machal gaya jo dil-e-na-tawan to kya hoga
uTha na ishq ka bar-e-giran to kya hoga
hamein fareb-e-mohabbat qubul hai lekin
jo khul gai kabhi dil ki zaban to kya hoga
hum ahl-e-dil hain kisi imtihan se kya Darte
liya falak ne tera imtihan to kya hoga
hazar dard sameTe hue hun ek dil mein
bikhar gai jo meri dastan to kya hoga
'hayat' kis ko dikhaungi aabgina-e-dil
mila na koi yahan qadr-dan to kya hoga
- Book : bu-e-saman (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.