dilruba pyar mein paida nae dastur na kar
dilrubā pyaar meñ paidā na.e dastūr na kar
toḌ deñ ahd-e-vafā itnā tū majbūr na kar
maan le baat mirī dard ko mash.hūr na kar
shart-e-rusvā.ī jahāñ vāloñ kī manzūr na kar
muddateñ hijr kī bhar deñgī mire zaḳhmoñ ko
mat lagā vasl ke nashtar unheñ nāsūr na kar
sarsar-e-vaqt ke jhoñkoñ ne bujhāyā hai jinheñ
un charāġhoñ ko jalā zindagī be-nūr na kar
dilruba pyar mein paida nae dastur na kar
toD den ahd-e-wafa itna tu majbur na kar
man le baat meri dard ko mashhur na kar
shart-e-ruswai jahan walon ki manzur na kar
muddaten hijr ki bhar dengi mere zaKHmon ko
mat laga wasl ke nashtar unhen nasur na kar
sarsar-e-waqt ke jhonkon ne bujhaya hai jinhen
un charaghon ko jala zindagi be-nur na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.