dimagh-o-dil bachana chahta hun
dimāġh-o-dil bachānā chāhtā huuñ
tirī yādeñ miTānā chāhtā huuñ
udāsī muñh banā letī hai aksar
maiñ jab bhī muskurānā chāhtā huuñ
agar bhūlo nahīñ ik baat bolūñ
maiñ tum ko yaad aanā chāhtā huuñ
khulī haiñ khiḌkiyāñ is ghar kī lekin
maiñ darvāze se jaanā chāhtā huuñ
chalo tum se ta'alluq ḳhatm kar ke
gile shikve bhulānā chāhtā huuñ
dimagh-o-dil bachana chahta hun
teri yaaden miTana chahta hun
udasi munh bana leti hai aksar
main jab bhi muskurana chahta hun
agar bhulo nahin ek baat bolun
main tum ko yaad aana chahta hun
khuli hain khiDkiyan is ghar ki lekin
main darwaze se jaana chahta hun
chalo tum se ta'alluq KHatm kar ke
gile shikwe bhulana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.