dimagh-o-dil mein jhagDa ho gaya hai
dimāġh-o-dil meñ jhagḌā ho gayā hai
badan ke shahr meñ curfew lagā hai
vafā mehr-o-mohabbat ke ma.ānī
vo mil jaa.e to us se pūchhnā hai
muqaddar meñ yahī likkhā thā shāyad
chalo achchhā huā jaisā huā hai
haTā do is ko to is zindagī ne
sivā.e ġham ke mujh ko kyā diyā hai
rag-e-jāñ se bhī hai nazdīk lekin
hamāre darmiyāñ ik fāsla hai
añdhere dandanāte phir rahe haiñ
diyā be-vaqt kyā ik bujh gayā hai
dimagh-o-dil mein jhagDa ho gaya hai
badan ke shahr mein curfew laga hai
wafa mehr-o-mohabbat ke maani
wo mil jae to us se puchhna hai
muqaddar mein yahi likkha tha shayad
chalo achchha hua jaisa hua hai
haTa do is ko to is zindagi ne
siwae gham ke mujh ko kya diya hai
rag-e-jaan se bhi hai nazdik lekin
hamare darmiyan ek fasla hai
andhere dandanate phir rahe hain
diya be-waqt kya ek bujh gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.