dimagh phir sa gaya hai kuchh ek salon se
dimāġh phir sā gayā hai kuchh ek sāloñ se
ḳhayāl bhī nahīñ milte haiñ ham-ḳhayāloñ se
rihā huā jo maiñ zanjīr-e-kār-e-duniyā se
tū kheltā rahā shab bhar kisī ke bāloñ se
mirā habīb udāsī kī or baḌhtā gayā
vo mutma.in hī nahīñ thā mirī misāloñ se
koī javāb nahīñ un udaas āñkhoñ kā
mujhe bhī bhāgnā paḌtā hai un savāloñ se
bas ek maiñ hī nahīñ us ke zikr se marbūt
use bhī jaanā gayā hai mere havāloñ se
Darā Darā hai mirī jaan merī fikr kā ban
tire ḳhayāl ke in bhāgte ġhazāloñ se
dimagh phir sa gaya hai kuchh ek salon se
KHayal bhi nahin milte hain ham-KHayalon se
riha hua jo main zanjir-e-kar-e-duniya se
tu khelta raha shab bhar kisi ke baalon se
mera habib udasi ki or baDhta gaya
wo mutmain hi nahin tha meri misalon se
koi jawab nahin un udas aankhon ka
mujhe bhi bhagna paDta hai un sawalon se
bas ek main hi nahin us ke zikr se marbut
use bhi jaana gaya hai mere hawalon se
Dara Dara hai meri jaan meri fikr ka ban
tere KHayal ke in bhagte ghazalon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.