din aa gae shabab ke aanchal sanbhaaliye
din aa ga.e shabāb ke āñchal sañbhāliye
hone lagī hai shahr meñ halchal sañbhāliye
chaliye sañbhal sañbhal ke kaThin rāh-e-ishq hai
nāzuk baḌī hai aap kī paa.il sañbhāliye
saj-dhaj ke aap nikle sar-e-rāh ḳhair ho
Takrā na jaa.e aap kā pāgal sañbhāliye
ghar se na jaao duur kisī ajnabī ke saath
barseñge zor zor se bādal sañbhāliye
din aa gae shabab ke aanchal sanbhaaliye
hone lagi hai shahr mein halchal sanbhaaliye
chaliye sanbhal sanbhal ke kaThin rah-e-ishq hai
nazuk baDi hai aap ki pail sanbhaaliye
saj-dhaj ke aap nikle sar-e-rah KHair ho
Takra na jae aap ka pagal sanbhaaliye
ghar se na jao dur kisi ajnabi ke sath
barsenge zor zor se baadal sanbhaaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.